Physical Relation: Bhopal railway station par haal hi mein hua sucide case mein chokane wala khulasa hua hain. Marne se pahle Gwalior ki rahne wali vivahita ne 7 page ka sucide note likha tha. Usne sucide note mein atamhtya ka karan btaya. Usne sucide note mein likha hain ki usko Olad nhi thi. Is par sas sasur use partadit karte the.
Itna hi nhi sasur ne uske sath gandi harkate bhi karta tha. Sasur ne Olad n hone par use sharirik sambandh bnane ka prastav diya tha. In sabse tang aakar yuvti ne apni jaan dene ka khofnak kadam uthaya. Police ne is mamle mein sas sasur smet sath aaropiyo ko hirasat mein le liya hain. Vah is mamle ki or gambirta se janch kar rahi hain.
Physical Relation: Bhopal mein us waqt sansani fail gyi
Gortalab hain ki 30 July ko Bhopal mein us waqt sansani fail gyi thi jab ek mahila ne platform num-1 par Tamilnadhu Express ke aage chlang lga di thi. Train se takrate hi uska sharir 2 hinso mein bant gya tha. Ghatna ke bad station par hadhkamp mach gya tha. Aanan fanan mein GRP or Police ne elake ko gera or shav ko kabje mein lekar postmortem ke liye bhej diya. Police ko ghatna sathal se 7 page ka sucide note mila. Isse pta chal ki mrit mahila ka naam Kiran Dwivedi tha. Uski shadi Bhopal mein hui thi.
Sucide note mein likhi dardnak kahani
Sucide note se pta chla ki kiran 6 mhine se mayke me rah rahi thi. Uska sasur Mahesh Dwivedi Bhopal mein Harijan Welfare Department mein padsath hain. Sasur mritka ke sath gandi harkat karta tha. Vah mritka se puchta tha ki bete ke sath prem samand kaise banati ho. Sasur uske sath sharirk chhedhchhadh bhi karta tha. Kiran jab is pratadhana ki shikayat pati Ashish Dwivedi se karti thi to vah use pitna tha. 6 mahine par sasuralvalo ne Kiran ko ghar se nikal diya tha.
Physical Relation: Mayke ko aapbiti sunayi to bhi pitha gya
Sucide note mein yah bhi bat samne aayi ki jab mritika ne yah sab baate apne mayke mein btayi to use buri tarah pita gya. Sasural walo ne use jaan se marne ki bhi dhamki di. Btaya jata hain. Ki 29 July ko Bhind ke pass Odupura gaon mein Kiran ke mama sasur Vinod Brua aur Sanjay Brua ke ghar smaj ki panchayat honi thi. Is panchayat mein pati patni ke risto ko lekar batchit honi thi. Kiran 29 July ko pita ke sath panchayat jane nikli. Lekin fir dono ghar nhi lote. Beti jaha train se kat gayi thi wahi pita ne jehar kha liya tha. Pita ka elaj Gwalior hospital mein chal raha hain.
[…] Aachary Chanakya ne nittishastr mein bataya hain ki kisi bhi purush ko khana khati hui mahila ki taraf kati nahi dekhana chahiye. Ye shishtachar ke khilaf hota hain. Aur bhojan karti mahila bhi aasahaj hokar kam khana khati hain. Aur bhukhi rah jati hain. […]