Ayodhya Mein Ghar Bnayenge Amitabh Bachchan, Praan Pratishtha Se Pahle Kharida Plot
Ayodhya Ram Mandir: Amitabh Bachchan apna ghar Ayodhya mein bnane vale hai. Unhone Ram Mandir Praan Pratishtha se pahle Ayodhya mein Plot kharid liya hai. Aaiye jante hai kaha aur kitne mein kharida hai Plot….
Ayodhya Ram Mandir: Amitabh Bachchan ne Kharida Plot
Ram Mandir Pran Pratishtha smaroh se pahle Amitabh Bachchan ne ek khaash kaam kiya hai. Unhone Ayodhya mein ghar bnane ke liye 14.5 caror ka plot kharida hai. Hindustan Times ki report ke mutabik Amitabh Bachchan ne Mumbai sathit ‘House of Abhinandan Lodha on Devel’. House of Abhinandan Lodha ne abhi tak ghar ke size ke baare mein koi comment nhi kiya hai. lekin report ke mutabik 10,000 varg feet ka ghar banayenge.
Reports ke mutabik The Sarayu ka luanch bhi 22 January ko hone vala hai. Jis din Ayodhya mein Ram Mandir Pran Pratishtha smaroh hone vala hai. Is Mandir ka udaghaatan PM Modi karne vale hai
Amitabh Bachchan ne ki project ke bare mein baat
Bachchan ne ‘The House of Abhinandan Lodha’ Ke Sath project ke bare me baat ki. Amitabh Bachchan ne kaha-Mein Ayodhya mein The Saryu ke liye The House of Abhinandan Lodha Ke Sath is journey ko Shuru karne ke liye excited hu. Ye ek aisa shahar hai jo mere dil mein ek visesh jagah rakhta hai.
Ayodhya ki shaashvat aadhyaatmikata aur saanskritik samrithi ne bhogoalik simaao se pare ek emotional conncection bnaya hai. Yeh Ayodhya ki aatma mein ek journey ki shuruwat hai. Mein vashvik aadhyaatmikata Rajdhani mein apna ghar bnane ki aasha kar raha hu.
Bata de Amitabh Bachchan ka janam Prayagraj mein hua tha. Paryagraj se Ayodhya (Ayodhya Ram Mandir) ka rasta 4 ghante ka hai. Ab unhono Ayodhya mein plot le liya hai. Jo Ram Mandir se sirf 15 minute ki duri par hai. Wahi The Saryu se Ayodhya Airport 30 minute ki duri par hai.
Warkfrant ki baat kare to Amitabh Bachchan aakhri baar film Ganpat mein Tiger shroff aur Kriti Senan ke sath najar aaye te. Ye film Box Office par kuch khaash kamaal nahi dikha pai thi. Unke pass project ki lai lagi hui hai. Vah Prabhaas ke sath kalki 2898 edi mein najar aane vaale hai. Isake alaava vah Rajanikaant ke saath bhi mein najar aayenge. Film ko lekar kuchh samay pahale hi anaunsament hui hai.
[…] Aur Nepal Diwali: 22 January ko Ayodhya mein shri Raam Mandir ki Praan Pratishtha ko lekar Nepal mein bhi taiyaariyan joro par hai sabhi mandiron mein log Raam bhajan aur kirtan kar […]
[…] fir se shuru ki Bharat jodo yaatra. Yaatra ke doran Rahul ne kayi vivadit byaan diye. Rahul ne kaha Pichhli yatra etihasik rahi Rahul Gandhi ne kaha ki Kanyakumari se Kashmir tak chali pichhli yatra etihasik rahi thi. Logo […]