Australia vs New Zealand Test: NZ or AUS ki team T20 ke bad ab test series mein. Ek dusre ka samna karne ke liye tyar hain. Dono team ke bich 2 matcho ki test series 29 se suru hone wali hain. Is series mein AUS team ki kaman Peith camins sambhalenge. Wahi NZ ki team Southy ki captani mein khelegi. Ye series world chaimpiyanaship ko dekhte huye dono team ke liye kafi aham rahne wali hain.
Australia vs New Zealand Test: Kab kaha or kaise dekhe NZ vs AUS test series
NZ or Aus ke bich is series ka pahla test match Wellington mein khela jayega. Wahi dusra test match christchurch me 8 March se khela jayega. Ye dono test match bhartiye samyanusar subah 3.30 baje se khele jayenge. In matcho ki live streaming bharat mein amazon prime par dekh sakte hain. Halanki bharat mein tv par in matcho ka live telecast nhi hoga.
NZ-AUS head-to-head record
NZ or AUS ke bich abhi tak khele gye 60 test match mein se NZ ne 8 match jite hain. Or 34 match AUS k name rahe hain. Wahi 18 match draw par khatam huye hain. Dusri or NZ ki dharti par khelte 26 test matcho mein se AUS ne 14 match jite jabki NZ ne 5 mein baji mari hain.
Pahle test ke liye NZ ki team
Team Southi (captain), Tom Blundell (Wicketkiper), Matt Henry, Scott Kuggeleijn, Tom Latham, Daryl Mitchell, Will O’Rourke, Glenn Phillips, Rachin Ravindra, Mitchell Santner, Neil Wagner, Kane Williamson, Will Young.
Australia vs New Zealand Test: AUS test team skvod
Pat Cummins (captain), Scott Boland, Alex Carey, Cameron Green, Josh Hazlewood, Travis Head, Usman Khawaja, Marnus Labuschagne, Nathan Lyon, Mitchell Marsh, Michael Neser, Matthew Renshaw, Steve Smith (vice-captain), Mitchell Starc.
Australia apne dono match jeeta to kya hoga
Isake bad ab Australia aur New Zealand ke dusare match ki bat ki jaye to. Agar Australia ki team apne dono match jitane mein kamyab ho jata hain. To fir chije badal jayengi. Yaha pahli shart yahi hain. Ki Bharatiy team apna Dharmashala vala test jit jaye. Aur Australia lagatar 2 jeet darj karane mein safal rahe to fir kya hoga. Bharatiy team ka PCT to vahi rahega, yani 68.5 ka.
Australia ki 2 back to back jit se hoga ye ki Australia ka PCT 62.5 ka ho jayega, jo Bharat se to kam ka hi rahega, Lekin New Zealand se jyada ho jayega. Aisi halat mein bhi Bharat number ek ki kursi par bana rahega aur isake baad Australia ka number aayega, vahi New Zealand ka PCT 50 ka rah jayega, Yani team sidhe number 1 se 3 par chali jayegi. New Zealand ki team apne dono match jitati hain. To fir New zealand ka PCT 83.33 ka hoga aur Australia ka 45.83 ho jayega, jo team ke liye kafi nukasanadeh sabit ho sakta hain.
[…] hain. Lekin kya aap kisi aisi jagah ke bare mein janate hain. Jaha par pati-patni bikate ho? Yaha jakar aap apani pasand ke mutabik apane liye husband ya wife chun sakate hain. Isi se juda ek video instagram par teji se viral ho raha hain. Isame dekha ja sakata […]