Saturday, July 27, 2024
Google search engine
HomeLifestyleHealth & FitnessRus mein cancer ke injection bnane ke karib, President Putin ne jald...

Rus mein cancer ke injection bnane ke karib, President Putin ne jald uplabd krane ka kiya dava

Google search engine

Cancer Injections: Rusi President Vladimir Putin ne budhwar ko kha ki Rusi Vegyanik cancer ke liye tike bnane ke karib phunch gye hain. Jo jald hi marijo ke liye uplabd ho skte hain. Putin ne TV par diye gye byan mein kha ki hum cancer tiko or nayi pidi ki partirksha parnali majbut krne wali dwao ke nirman ke bahut karib aa gye hain.

Cancer Injections: Kai Desh kar rahe Tike par kaam

Unhone umid jtayi ki jald hi unka parbhavi dang se chikitsa ke rup mein upyog ki jayega. Unhone Masko mein bhawisya ki takniko par ayojit karykarm mein ye baate kahi. Putin ne yah nhi btaya ki parstivit tike kis prakar ke cancer ko lakshit karenge or na hi unhone btaya ki yah kaise kaam krega. Kai desh or company cancer ke tiko par kaam kar rahi hain.

British sarkar ne Germany sathit BioNTech ke sath samjhotei par hastakshar kiye

Pichle saal british sarkar ne Germany sathit BioNTech ke sath samjote par hastakshar kiye, jo cancer upchar pradan krne ke liye parikshan suru krega. Jiska lakshay 2030 tak 10,000 rogiyo tak pahuchna hain. Pharmaceutical companies Moderna aur Merck & Co. ek prayogatmak cancer vaccine viksit kar rahi hain. Jo ek madya charan adhyan mein 3 saal ke upchar ke baad Melanoma se death ki sambhawna ko aadha kar deti hain.

Visv swasthy sangathan ke anusar, vartman mein 6 license prapt tike hain. Jo kyi tarah ke cancero ka karan bnne wale manv Papillomavirus (HPV) ke upchar ke liye hain. Jinme cervical cancer bhi shamil hain. Sath hi Hepatitis B (HBs) ke khilaf tike bhi hain, Jo liver cancer ka karan bnta hain.

Ye pahli baar nahi hai ki Rus kisi mahamari ke khilaf vaccine ijad karane mein juta hai. Isse pahle coronavirus mahamari ke dauran. Rus ne apna Sputnik V vaccine banaya tha. Aur corona se bachav ke liye ise kai desho ko bhi bheja tha.

Google search engine
RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -
Google search engine

Most Popular

Recent Comments