Tuesday, November 5, 2024
Google search engine
HomeLatestSports News: Rajasthan-Delhi match ki pitch report aur mausam ka taja haal

Sports News: Rajasthan-Delhi match ki pitch report aur mausam ka taja haal

Google search engine

IPL 2024: Aaj 28 March 2024 IPL 2024 ka nauva mukabla khela jayega. Ye match Rajasthan Royals aur Delhi Capitals ki team ke bich Jaipur ke Sawai Mansingh Stadium mein aayojit hoga. Aaiye janate hain ki is match ki pitch report kaisi hain. Aur aaj kaisa rahega Jaipur ka mausam.

IPL 2024: Kaman Sanju Samson ke hatho mein hogi

T20 cricket ki sabse badi league IPL ke 17ven sanskaran mein aaj 9vaan mukabala khela jayega. Aaj ke match mein Rajasthan Royals ki bhidant hogi Delhi Capital team se. Ye mukabala Jaipur ke Sawai Mansingh Stadium mein khela jayega jo Rajasthan Royals ka home ground bhi hain. Aur is season mein Rajasthan Royals ka unke ghar mein ye pahla match bhi hoga. Is match mein 2 Indian wicketkeeper captains aamane-samane honge. Rajasthan Royals ki kaman Sanju Samson ke hatho mein hogi. Vahi Delhi Capital ki captany karenge tournament mein vapasi karane vale Rishabh Pant. Mukabala sham 7.30 baje se shuru hoga.

Rajasthan aur Delhi ki teamo ke bich hone vale is match se pahale dono teamo ke aankado par ek najar dal lete hain. In dono teamo ke bich ab tak IPL itihas mein 27 mukabale khele ja chuke hain. Jiname mukabala kante ka raha hain. Rajasthan Royals ne in mukabalo mein 14 mein jeet darj ki, jabki Delhi ki team ne 13 match jeete. Delhi capital aaj match jeetkar is aankade ko barabari par lane ka prayas karegi.

Rajasthan Royals ne maujuda season mein ab tak sirf 1 match khela hain. Aur us match mein Lucknow ko 20 run se shikast dekar ank talika mein dusare sthan par kabja jamaya hua hain. Vahi dusari taraf Delhi Capital ne bhi ab tak ek hi match khela hain. Jisame Panjab Kings ne unko 4 wickets se mat de di thi. Delhi ki team ank talika mein 8ve number par hain. Ab janate hain ki aaj ke match mein pitch kaisi rahegi aur Jaipur ke mausam ki sthiti kaisi hain.

IPL 2024: Rajasthan Royals vs Delhi Capitals Pitch Report

Aaj Rajasthan aur Delhi ki teams ka mukabala Jaipur ke Sawai Mansingh Stadium mein hone ja raha hain. Itihas mein is maidan ki pitch kai tarah ke rukh apnate dekhi ja chuki hain. Lekin fir bhi yaha ballebajo ki balle-balle hona tay mana jata raha hain. Is maidan ka sarvadhik score hain 217 run jo Sunrisers Hyderabad ne Rajasthan Royals ke khilaf pichhale IPL season mein banaya tha.

Vahi yaha sabse bade lakshay ko hasil karne ka record Delhi Capital team ke naam darj hain. Jinhonne IPL 2019 mein Rajasthan Royals ke khilaf yaha 193 run banakar jeet darj ki thi. Vahi sabse kam score Rajasthan ki team ke naam darj hain. Jo pichhale hi saal Royal Challengers Bangalore ke khilaf 59 run par alloutt hokar sharmasar huye the. Yaha pahale ballebaji karane vali team ka ausat score takariban 160 run hain. Gendabajo ki baat kare to yaha tej gendabajo ka bolbala raha hain. Lekin garmi badh rahi hain. Aur aise mausam mein spinners bhi apna kamal dikhane se pichhe nahi rahege.

IPL 2024: Aaj kaisa rahega Jaipur ka mausam?

IPL 2024 mein aaj Rajasthan Royals aur Delhi Capitals ka mukabala Rajasthan ki Rajadhani Jaipur mein hone ja raha hain. Desh ke ye hissa garmi ke mamale mein shirsh rajyo mein se ek hain. Filahal achchhi khabar ye hain ki badhati garmi ke bich aaj Jaipur mein badal chhaye rahne ka anuman hain. Halanki barish ke koi aasar nahi hain. Umas kafi rahegi jo sham ko gendabajo aur fielders ki mushkile badha sakti hain. Jaipur ka tapman aaj adhikatam 37 digree centigrade tak jane ke aasar hain. Vahi nyunatam tapman 25 digree centigrade tak rah sakta hain.

Rajasthan aur Delhi ki teams

Rajasthan Royals Team: Sanju Samson (Captain), Abid Mushtaq, Avesh Khan, Dhruv Jurel, Donovan Ferreira, Jos Buttler, Kuldeep Sen, Kunal Singh Rathore, Nandre Berger, Shubham Dubey, Rovman Powell, Tom Kohler-Cadmore, Trent Boult, Yashasvi. Jaiswal, Yuzvendra Chahal, Tanush Kotian, Navdeep Saini, Prasidh Krishna, Ravichandran Ashwin, Ryan Parag, Sandeep Sharma and Shimron Hetmyer.

Delhi Capitals team: Rishabh Pant (captain), David Warner, Khaleel Ahmed, Ishant Sharma, Mukesh Kumar, Tristan Stubbs, Ricky Bhui, Kumar Kushagra, Rasikh Dar, Jhye Richardson, Sumit Kumar, Swastik Chikara, Shai Hope, Prithvi Shaw, Yash Dhull, Abhishek Porel, Axar Patel, Lalit Yadav, Mitchell Marsh, Praveen Dubey, Vicky Ostwal, Enrique Norcia, Kuldeep Yadav and Jake Fraser-McGurk.

Google search engine
RELATED ARTICLES

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -
Google search engine

Most Popular

Recent Comments