Mukhtar Ansari Death News: Poorv Vidhayak Mukhtar Ansari ki Thursday 28 March ko der raat dil ka daura padane se maut ho gai. Unki maut ke baad poore pradesh mein dhara 144 lagu kar di gai hain. Mukhtar Ansari ko Ghazipur ke Mohammadabad ke Kalibad kabristan mein Supurd-E-Khaak kiya jayega.
Mukhtar Ansari ke bete Umar Ansari Banda Medical College Hospital pahunche. Jaha post-mortem ke baad Mukhtar ka shav unhe saump diya jayega. Jume ki Namaj ke baad Banda Medical College se Mukhtar Ansari ka shav nikala jayega. Isse pahale der raat Ghazipur ke DM aur SP ne kabristan ka nirikshan kiya. Sootro ke mutabik Ansari ko unke pita Subhanullah Ansari ki kabar ke bagal mein dafnaya jayega.
Mukhtar Ansari Death News: Mukhtar Ansari ko nahi mila ilaj
Ansari ko nahi mila ilaj is bich Mukhtar Ansari ke bade bhai Sibgatullah Ansari kaha. Ki prashasan ne mujhe unki maut ke bare mein suchit nahi kiya. Mukhtar 18 March se bahut bimar the aur unko ilaj nahi mil raha tha. 25-26 March ki raat ko unki halat bahut kharab thi, isaliye aupacharikta ke taur par unhe kuchh ghanto ke liye medical college laya gya. Fir unhe vapas bhej diya gya aur kaha gya ki unki halat sthir hain. Unka koi ilaj nahi kiya gya.
Ansari ki maut par unke vakil Randhir Singh Suman ne kaha
Ansari ke vakil ne bataya hatya vahi. Unki ki maut par unke vakil Randhir Singh Suman ne kaha hain ki unaki maut nahi, hatya ki gai hain. 2 Din pahale hi poorv vidhayak Mukhtar Ansari ne aarop lagaya tha. Ki Banda jail mein unhe jahar diya ja raha hain. Jisse unki maut ho sakti hain. Iske alava Mukhtar Ansari ne court mein bhi apni jaan ko khatra btaya. Aur adalat se jail mein atirikt suraksha ki mang ki thi. Jise nyayalay ne thukra diya tha.
Poorv vidhayak Mukhtar Ansari ne Banaras Hindu University se students politics karane ke baad saal 1996 mein rajaniti mein kadam rakh diya tha. Pahali baar vah saal 1996 mein Mau se vidhayak bane. Isi seat par 2002, 2007, 2012 aur 2017 mein vidhayak chune gaye. 2 baar BSP ke tikat par, 2 baad independent candidate ke taur par aur ek baar khud ki. Party Qaumi Ekta Dal dal ke tikat par vidhayak chune gaye the.
[…] […]
[…] Tips Update: प्याज का इस्तमाल में सब्जी में पलाव बन… के रूप में करते है। घर की रसोई में […]
[…] kul 4 hajar petrol pump hain. Jiname se 350 sarkari hain. Baki sabhi private hain. Yaha Reliance ke karib 700 petro pump hain. Inke hadtal mein shamil hone par sanshay […]
[…] Mahadev ka Gorakhpur: Ravi Kishan ne apni nai film Mahadev ka Gorkhapur se duniyabhar mein Bhojpuri cinema ka paracham lahara diya hain. Unhonne double role mein action ke saath-saath God ke prati apani sachchi aastha jahir ki hain. Film mein Hindi, Tamil, Telugu, Kannada aur Malayalam bhashao ke kuchh mashahur actor bhi hain. Yah Bhojpuri film kyo khaas hain, janne ke liye padhe director Rakesh Mohanan se khas batachit ke Ansh- […]