Mahadev ka Gorakhpur: Ravi Kishan ne apni nai film Mahadev ka Gorkhapur se duniyabhar mein Bhojpuri cinema ka paracham lahara diya hain. Unhonne double role mein action ke saath-saath God ke prati apani sachchi aastha jahir ki hain. Film mein Hindi, Tamil, Telugu, Kannada aur Malayalam bhashao ke kuchh mashahur actor bhi hain. Yah Bhojpuri film kyo khaas hain, janne ke liye padhe director Rakesh Mohanan se khas batachit ke Ansh-
Mahadev ka Gorakhpur: Film ne release hote hi itihas rach diya
Ravi Kishan ki film Mahadev ka Gorakhpur 29 March ko duniyabhar mein Hindi aur Bhojpuri mein release hui. Film ki kahani punarjanm par aadharit hain, Jisame Ravi Kishan ka kirdar dobara janm lekar Muzaffar Khan se badla leta hain. Film ne release hote hi itihas rach diya hain. Yah pahali pain India Bhojpuri film hain. Jo hindi ke alava South Indian bhashao mein bani hain. Ravi Kishan ki shandar acting aapko nirash nahi karegi. Film ki charcha pichhale kai dino se ho rahi thi. Film ke director Rajesh Mohanan ne hindi se khas batachit mein film se jude kai savalo ke dilachasp javab diye. Prastut hain unse hui batachit ke kuchh Ansh.
Hamare liye bhi Bhojpuri sirf ek bhasha
Rajesh Mohanan South ki filme bna chuke hain. Lekin is baar unhonne Bhojpuri film ko chuna. Director ne iski vajah batate huye kaha. Hamare liye bhi Bhojpuri sirf ek bhasha hi nahi, balki logo ka sentiment hain. Aur jab aap kisi bhasha mein film banate hain. To yah mayane nahi rakhata ki use aap kis bhasha me bna rahe hain. Hum kisi bhi industry ke ho. Cinema kisi ek khash bhasha ki nahi ho sakti, kyoki cinema ke paas to apni koi bhasha hoti hi nahi hain. Use aap jis bhasha me chahe bna sakte hain. Isiliye is film ke liye hamne Bhojpuri ko chuna.
Mahadev ka Gorakhpur: Bhojpuri cinema se kaise recover karenge
Film ko banane mein 12 crore rupye kharch huye. Jab Rajesh Mohanan se poochha gya ki ve itani badi rakam Bhojpuri cinema se kaise recover karenge. To ve bole, dekhiye hamane bajat film banane mein lagaya hain. Lekin ye sochkar nahi lagaya ki kitna recover hoga. Hamane to Mahadev ko samarpit kar diya hain. Is project ko, to fir bajat ke recover ki kya chinta? Bhojpuri filmo ka sansar bahut bda hain. Ise bde roop mein dekhne ki aavashykata hain. Bhojpuri ke darshak duniyabhar mein faile huye hain. Iske mukabale mein 12 crore rupye kuchh nahi hain.
[…] Arora-Arbaaz Khan: Arbaaz Khan ne jab se Shura Khan se doosari shadi ki hain. Vah charcha ka vishay bane huye hain. Couple ko aksar ek-doosare ke saath bahar sport kiya jata […]