Sunday, September 8, 2024
Google search engine
HomeEntertainmentDharmik News: Rajasthan ke is ganv mein aaj doolhe ki tarah saj-dhajkar...

Dharmik News: Rajasthan ke is ganv mein aaj doolhe ki tarah saj-dhajkar jhoome-nache log

Google search engine

Doolhe ki tarah saje: Khamnor shetr ke Badabhanuja ganv mein bhagwan Lakshmi Narayanji ke fool dol mahotsav. Monday ko dhoom dhaam se manaya gya. Isame ganv ke Brahman samaj ke log doolhe ka roop dhar kar nache. Is alaukik najare ko dekhane saikado ki sankhya mein gramin log jma huye.

Ganv mein sthit mandir ke chauk mein bhagawan Lakshmi Narayanji ke fool dol sajane ke baad yaha par yah nritay kiya gya. Jisame ganv mein rahne vale sabhi Brahman parivar ke sadasy doolhe ka vesh dharan karke shamil huye. Log khastaur par sir par safa bandhkar Turra Kilangi aadi lagakar is chauk mein thali-madal ki thap par nache aur aapas mein gale bhi mile. Dopahar mein shuru hua yah nritay sham tak chalta raha. Is dauran bhajan aadi karyakram bhi huye. Vahi aayojan ke dauran bich-bich mein vishesh bhajano ka karyakram bhi hua. Evan aapas mein mil-jul kar log foondi lekar bhi khoob nache.

Doolhe ki tarah saje: Bolachaal nahi, tab bhi mile gale

Nritay ke dauran yadi kinhi vyaktiyo ke bich mein bol chaal nahi hain. To bhi nachte samay aamane-samane aa jane par dono gale milate hain. Jisse ek-doosare ke gile-shikve door hote hain. Nrity ki is parampra ko jeevant banaye rakhane Gujarat aur Maharashtra aadi kai shaharo mein rojgar ko lekar pravasarat adhikansh sadasy bhi yaha pahunche aur is nritay mein poori shraddha va utsah ke saath bhag liya.

Yaha manai gai Kodamar Holi

Vahi Sriganganagar, Bhilwara aur Hanumangarh mein Kodamar Holy khelane ki parampara salon se chal rahi hain. Yaha log dhol ki thaap par toli mein rang-gulaal udate huye Holy khelate najar aaye. Iske baad gramin toli mein bantkar kapde ko kode ki tarah lapet kar rang mein bhigokar ek doosare ko pitate najar aaye. Sthaniy batate hain. Ki lagabhag 200 varsh poorv samaj ke bujurgo ne rang teras par koda maar Holy ke aayojan ko prarambh kiya gya tha. Tab se yah parampara nibhai ja rahi hain. Bhilwara ki Kodamar Holy shaan aur parampara ban gai hain.

Google search engine
RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -
Google search engine

Most Popular

Recent Comments