Thursday, November 21, 2024
Google search engine
HomeLifestyleHealth & FitnessAjab Gajab Kahani: Bharat ke is gao mein mardho se samandh bnane...

Ajab Gajab Kahani: Bharat ke is gao mein mardho se samandh bnane aati hain ladkiya

Google search engine

Documentary: Desh mein adventure tourism, culture tourism, eco tourism, medical tourism, wild life tourism aadi kaise praytan ke kai prakar hain. Lekin pichle kuch varsho mein Bharat ek aise turism ke liye charcha mein raha hain. Jis par khulkar bat nhi hoti hain. Yah hain- pregnancy tourism. Ladhak mein gao hain. Jiske bare mein yah dava kiya jata hain. Ki Vaha videshi mahilaye garbhvati hone ke liye aati hain.

Documentary: Sudh aaryo ke gao

Al jajora ki ek report ke mutabik, Ladakh ki rajdhani Leh se 163 km southwest mein  satith Biama, Garkon, Darchik, Dah or Hanu gao hain. In gao mein Brokpa smuday ke log rahte hain. Jinka dava hain ki duniya ke aakhir bache huye ‘Sudh Aryan’ hain. Nasliye shreshthta se grast is vivadit dave ko Brokpa apne sir Taj mante hain. Ve is bat ko n sirf saharsh savikar karte hain blki garv bhi mahsus karte hain.

Ab swal uthta hain ki yah Sudh Aryan kya hain? Darasal naji-yug ke nasliye sidantkaro ne sudh nasal ko master race se kaha tha. Isi aadhar par Germany mein yahudiyo ka narsanhar kiya gya tha. Master race walo ki kathit khasiyt yah mani jati hain ki wo lambe hote, gore hote hain, aankhe nili hoti hain or jabde majbut hote hain. Vah kathit tor par adik intelligent bhi hote hain.

2017 mein Bharat sarkar ki ITBP ne Bropka smudaye ke kuch logo or unke gao ki tasvir share karte hua likha tha. Ladakh stit durlabh Red Aryan ka ghar. Darchik gao mein Historic Brokpa aadivasi smudaye. Brokpa ladakh ki bhusankhayk mangoliyan features vali aabadi se alag dikhate bhi hain. Sthaniye bhasha mein Brokpa ka matlab Gumntu hota hain.

Brokpa bodh hone ke bavjud Devi Devtao mein yakin karte hain. Ve aag ki pooja karte hain. unke yaha Bali dene ki bhi partha hain. Ve gaay se jyada bakari ko pavitar mante hain.

Pregnancy Tourism

Internet ke aagman se pahle Brokpo ko lekar koi khas craze nhi tha. Internet ke prasar ke bad ladakh ke gao mein German mahilao ke aane ke kisse mashur huye. Btaya jane lga ki German mahilaye ‘Sudh Aryan Bij’ ke liye brokpao ke gao mein aati hain. Sal 2007 mein filmkar Sanjiv Siwan ki 30 mint ki documentary “Achtung Baby: In Search of Purity” released hui. Documentary mein ek German mahila cemara par savikar karti hain ki vah ‘Shudh Aryan sperm’ ki talash mein ladakh aayi hain.

Documentary ki sutting Siwan ke liye bilkul bhi aasan nhi tha. Ek Bhartiye colonel ki madad se unhone Leh ke liye resort mein Brokpa aadmi ke sath chhutiya mna rahi ek German mahila ka pta lgaya. Jis vyakti ke sath German mahila chhuti mna rahi thi. Vah darchik ka rahne vala tha. Tab gao mein videshiyo ko aasani se jane ki anumati nhi thi.

Documentary: Siwan ko dono ke ek sath gumne gye

Yahi wajah thi ki dono ne Leh mein thahare huye the. Siwan ko dono ke ek sath gumne ki secret footage shut karni padi or fir mahila ko bat karne ke liye raji karna pada. Brokpa samuday ke vyakati ko is bat se koi fark nhi pad raha tha ki uski video bnayi ja rahi hain.

Documentary mein mahila batati hain. Ki ek Aaryn bache ko janam dene ke liye itni dur yatra karne aane vali pahle German mahila nhi hain or na hi aakhiri. Vah batati hain ki kaise is pregnancy tourism ke piche ek pura organized system kam kar raha hain. Lekin vah is bare mein vistar se btane se inkar karti hain. Vah kahti hain ki mein jo kar rahi hoon yah galat nhi hain. Mein jo chahti hoon uske liye payment bhi kar rahi hoon.

German mahila ne n kewal us vyakti ko uski sewao ke liye

Siwan ki documentary mein German mahila ne n kewal us vyakti ko uski sewao ke liye bhuktan kiya tha balki vah itni dyalu thi ki vah uske parivar or bachcho ke liye upahar bhi layi thi. Brokpa aadmi is chij se khush tha. Vah kahte hai, ‘mere pass khone ke liye kuchh nhi hain. Mein yah kam karta rahna chahuga. Ek din mere bachche mujhse milne aayege aur mujhe German le jayege’.

Documentary mein German mahila ka chehra nhi dikhaya gya hain. Halanki Brokpa aadmi ko aasani se pehchana ja sakta hain. Vah Kargil jile ke darchik gao ka rahne vala hain. Uska naam Tsevang Lundhup hain.

Is documentary se itar BBC ne apani graund report mein ek brokpa dukanadar ke dave ko darj kiya hain. Dukanadar ka dava hain ki kuchh sal pahale usse ek Garman mahila mili thi. Dono sath mein Leh ke hotel mein rahe the. Garbhavati hone ke bad vah Garmani vapas chali gai. Kuchh sal bad apane bachche ke sath milane aai.”

Dava aur Praman

Jahir hain brokpao ke dave ka koi vaigyanik praman nahi hain. Unki koi DNA janch nahi hui hain. Sirf Ladakhi culture se alag hone ki vajah se unhe ‘shuddh Aryans’ nahi mana ja sakta hain. Ve keval apani sharirik banavat aur apne shuddh Aryans hone ke bare mein virasat mein mili kuchh kahaniyo, lokakathao aur mithako ke aadhar par shuddh Aryan hone ka dava karate hain. Brokpa logo ke dave kisi bhi vaigyanik praman ya vishvasaniy itihas dvara samarthit nahi hain. Lekin fir bhi, ve apne davo ke sath majboti se khade hain.

Dusari bat yah ki aaryo ko lekar itihas bhi banta hua hain. Indian ke DePauw University mein manav vigyan ki associate professor Mona Bhan manati hain ki pregnancy tourism jaisi kahaniya gadh gai hain.

Google search engine
RELATED ARTICLES

4 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -
Google search engine

Most Popular

Recent Comments