Friday, October 18, 2024
Google search engine
HomePoliticsRahul Gandhi ko Pappu kah kar kyu pukarti hai saari duniya. Jaane...

Rahul Gandhi ko Pappu kah kar kyu pukarti hai saari duniya. Jaane vajah

Google search engine

Rahul Gandhi (Pappu): Aaj ka yuva ab bakhubi janta hai ki pappu kaun hai. Facebook aur whatsapp par Santa-Banta ke baad Pappu ke joke ki dhum machi hui hai. Kya aapko pta hai ki Congress ke mahasachiv Rahul Gandhi ko sabse pahle ye naam kisne diya. Darshal aaj us team ka naam samne aa gya hai jisane chunav ke samay social media par Rahul Gandhi ko Pappu naam se famouse karane ki yojana banai thi. Friday ko usi team ke ek membar Vineet Goynaka ne Jaipur ke JECRC UDML ke students se interacted kiya. Vineet BJP ki IT cell ke sachiv rah chuke hain. Is dauran unhone khaas batchit mein social media se jude kai khulase kiye.

Varsh 2003 mein IBM se 32 lakh ke package ki naukari chhodkar rajniti ke IT sector mein kadm rakhne vaale Vineet Goynaka filahaal sadak yatayat evam rajmaarg mantralay ke IT task fors mein hain. Vineet BJP IT Cell ke rashtriye sah sanyojak the. Tab Arvind, Amresh samet 4 logon ki team thi. Har subah sabhi tay karate the ki aaj kya karna hai.

Rahul Gandhi (Pappu): Aise Rahul baba bane Pappu

Rahul Gandhi ke public ke bich diye jaane vaale statement aur unke bhashan dene ke tarikon ko lekar sabhi ke mann mein hua ki kyon na social media mein inko nya naam diya jaye. Pahle Tenaliram aur Gyarasi Lal naam man mein aaya. Chunki yah uccharan mein bhi kathin tha aur shabdo ke hisab se lamba bhi.

Twitter par shabdon ki seema hoti hai. Aise mein is naam ko khaarij kar diya gya. Rahul Gandhi ko dekhte hi vo gaana yaad aane lga. Raado ki ghadi haathon mein perfume Gucciwala, Pappu kaant dance …..

Jis tarah se Rahul Gandhi apne bhaashan mein Naana Jawaharlal Nehru, Dadi Indira Gandhi aur pita Rajiv Gandhi ke baare mein hi baat kiya karte hai. Vo khud kya karenge ye unhone kabhi nahi bataya. Aise hi ek din chunaav ke dauran YouTube par unka bhashan sun rahe the to eka ek hamari team ne bola kya Pappu bnate ho. Khud kya kaam karoge ye to batao na. Aur ye naam sabhi ko jam gaya. Bas kya tha social media par is naam ko dalte hi logon ne hatho-hath lapk liya aur trend mein aa gya.

sansad Rahul Gandhi ko unake virodhi?

Congress neta aur sansad Rahul Gandhi ko unake virodhi? Pappu? kahkar unka majaak udane ki koshish karte hain. Is shabd par pahli baar Rahul Gandhi ne khulkar baat ki hai. Ek interview mein unhone kaha ki unhen? Pappu? kah lane mein koi aapatti nahin hai kyonki yah propaganda ka hissa hai. Yah unke virodhiyon ke dil mein dar dikhata hai. Unhone kaha ki yah shabd dikhata hai ki unke virodhi nakhush hain.

The Bombay Journey ko diye ek interview mein vah kahte hain ki main un sabhi naam ka swagat karta hu, jisse vah mujhe pukarte hain. Main chahta hu ki vah mera aur naam bhi pukare. Interview us dauran liya gya tha jab Bharat Jodo Yaatra Mumbai mein thi. Indira Gandhi ke baare mein baat karte huye Rahul Gandhi kahte hain unhe Iron Lady kahne se pahle Gungi Gudiya kaha jata tha.

Iron Lady kahne vaale vahi log hain

Rahul aage kahte hain ki meri Dadi ko Iron Lady kahne vaale vahi log hain jo aaj mujh par 24 Ghante hamla karte hain. Yahi log unhen Gungi Gudiya bhi kahte the. Aur achaank Gungi Gudiya Iron Lady ban gai. Main aapko btata hoon vah hamesha se Iron Lady thi. unhone kaha ki mujhe pravah nahi hai, aap mujhe kuchh bhi bula sakte hain. Main in sab chijon ko gambhirta se nahi leta.

Unse jab interview mein puchha gya ki kya aap chahenge ki koi mahila Indira Gandhi aur Soniya Gandhi ke gunon ke saath jeevan jiye? Iske jawaab mein unhone kaha ki yah ek dilachasp sawal hai. Meri Maa aur Dadi ke gunon ka mishran achchha hai. Maalum ho ki Bharat Jodo Yaatra 24 December ko Delhi pahuchi aur 3 January ko Kashmiri gate se fir se shuru hokar Uttar mein shesh yaatra ko pura karegi. Khabar yah bhi hai ki Jammu Kashmir mein Farooq Abdullah, Omar Abdullah aur Mehbooba Mufti is yaatra mein shamil honge.

lagatar 2 bar sarkar bani

Aam chunav me Etihasik vichardhara ke 2 saal baad 130 saal purani Congress party me ubrane ke sanket bahut kam dikh rahe hai. 19 May ko bhi Congress ki mushkile jari rahi aur vidhansabha chunavo ke natije aane ke sath hi Assam aur Keral uske hath se fisal gaye. Ab Congress ki satta Desh ke 29 rajyo se 6 rajyo tak simat gayi hai.

Inme se aadhey purvotar ke chote-chote rajye hai. Bihar me vo JDU ke sath gatbandan me hai. Tamil Naadu me party ke pardarshan ko dekhe to gatbandan ke sanjhedar ke rup me bhi wo pit rahi hai. Us party ka aisa pardarshan sar chakraa dene wala hai, Jisne 2004 aur 2009 me lagatar 2 aam chunav jite. 1989 ke baad aisa peheli bar hua tha jab kisi party ne kendr me lagatar 2 bar sarkar banai thi.

Ek ke baad ek ghotalo ne Congress ko bauna bna diya

Iske baad samne aaye ek ke baad ek ghotalo aur galat nirnayo ne sarkar ki uplabadiyo ko bauna bana diya. Rajnitik vishleshak Yogender Yadav kahte hai, ‘Congress me giravaat behadh ghambhir hai Aur ye Rashtiye party ke rup me bhi sikud rahi hai’. Pradhanmantri Narender Modi aksar ‘Congress Mukat’ Bharat ki baat karte rahtey hai. Aur Congress unhe galat sabit karne ke liye kuch khaas nahi kar rahi hai. Congress ki sabse badhi badha hai Nehru Gandhi pariwar par unki bahut adhik nirbartha. Kai logo ka manna hai ki Nehru Gandhi pariwar me ab wo pahle wala aakarshan nahi raha.

Rahul Gandhi (Pappu): Bhrashtachaar ke daag bhi kam nahi hai

Center for Policy Research ke Pratap Bhanu Mehta kahte hai, ‘Party ki Mukhy Samasya ye hai ki ye na to Gandhi Parivar ko chhod sakati hai. Aur na hi maujuda halat me uske sath bani rahe sakti hai. Ek dhaarna ye bani hai ki Congress Bhrashtachaar se daag daar hai. Aur ise hanste -hanste sah leti hai. Mehta kahte hai, ‘Isse party ladakhda jati hai’. Samridh itihash vaali rajnitik partiya aasani se gum nahi hoti.

Isse pahle kam se kam 2 bar Congress ka marsiya padha ja chuka hai. Lekin, badhati aakaankshaon aur phelate sanchar wale teji se badalte Bharat me party ko bhi nayi ummedhe dikhane ki jarurat hai. Mehta kahte hai, ‘Congress ko ummed ki nayi kiran dikhani hogi ya fir use Aur adhik rajnitik gusse ka samna karna padega’. Bhajpa se use jordar tarike se nipatna hoga. Bhajpa ne rashtrawaad ka mudda jor-shor se udhaya hai. Aur us par aksar vibhanjaankari rajnitik karne ka aarop lagaya jata hai.

Kahi kendriye vichardhara to kamjor nahi hai

Ek nya itihas ek nye netratv aur sangathanaatmak sudhar ki mang karega. Rajnitik vishleshak Joya Hasan kahti hai, ‘Kya ye vidambana nhi hai ki kai varsho se duniya ke sabse bade Loktantar ka Parbandhan aisi party ke hath me tha Jo aantrik tor par ek alok tantrik hai’. Kai logo ka kahna hai ki party ki kendriye vichardhara kamjor hui hai.

Kalpanik ‘Madhyam Maarg’ par chal rahi party jo ki kabhi smaaj ke pratyek tabke ka pratinidhitv karne ka dawa karti thi, Bharat ki teji se khandit ho rahi rajinitik me jnadhar kho rahi hai. Lekin sabh kuch barbaad nahi hua hai. Congress neta Shashi Tharoor jor dete huye kahte hai ki ‘Congress sabse adhik vishvasniye rashtiye vikalp bani rahegi aur iska fir se udye hoga’.

Rahul Gandhi (Pappu): Gujrat Pateh Congress me jaan funk sakti hai

Hasan kahti hai ki tamam kamiyo ke baavjhud Congress ka bahu lataavadhi charitr iski visheshta bani rahegi. Vah kahti hai, ‘Kai buraiyo ke bich ye Bharat ki gair sankirn vichar ka pratinidhitv karti hai’.

Kya party Bharat ko fir se hashil kar sakti hai? Iski shuruaat ke liye Congress ko bada aur Aham kila fateh karna hoga aur vo hai Gujrat. Modi ka garh raajhy jaha agle saal chunav hone hai. Bhajpa shasit raajyo me sarkarvirodhi lahar ko bhunane ka ye achha moka ho sakta hai aur achhi shuruvaat bhi.

Google search engine
RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -
Google search engine

Most Popular

Recent Comments