Friday, October 18, 2024
Google search engine
HomeLatestHaryana News: Haryana mein 2 din Petrol pump band rahenge, ​​​​​​​Association ka...

Haryana News: Haryana mein 2 din Petrol pump band rahenge, ​​​​​​​Association ka ailan

Google search engine

Petrol pump band rahenge: Haryana mein 30 aur 31 March ko sabhi private petrol pump band rahenge. Commission na badhane par Petroleum Dealers Association Haryana ne iska ailan kiya hain. 30 March ko subah 5 baje se lekar ek April ko subah 5 baje tak hadtal rahegi. Jabki sarakari pump khule rahenge.

Haryana mein kul 4 hajar petrol pump hain. Jiname se 350 sarkari hain. Baki sabhi private hain. Yaha Reliance ke karib 700 petro pump hain. Inke hadtal mein shamil hone par sanshay hain.

Association ke State President Sanjeev Chaudhary ne bataya ki bite 7 salo se sarkari agencies dvara pump dealers ka commission nahi badhaya gya. Dopahar 2 baje association ki press conference hain. Isame Panjab ki Petroleum Dealers Association PPDAP ke pradhan bhi shamil honge.

Petrol pump band rahenge: Karobar ho sakta hain prabhavit

Isko lekar sabhi petrol pump dealaro mein gahra rosh hain. Commission mein badhotari karne ke liye kai baar sarkari agencies se batchit ka daur bhi chalaya. Lekin kisi bhi prakar ki sunvai nahi hui. Ab pump band karne ka faisla liya hain. Halanki is faisle se aam Aadmi ko preshaniyo se joojhna padega. Doosari or transport se jude karobar bhi prabhavit honge.

2 se 3 rupye Commission diya ja raha

Sanjeev Chaudhary ne kaha ki ek arse se sabhi petrol pump dealers sarkari agencies se tel Commission mein badhotari ki mang kar rahe hain. Jab petrol karib 65 rupe tha. Tab se 2 rupe prati liter diesel aur 3 rupe petrol par commission diya ja raha hain. Ab tel karib 100 rupe ke aas paas hain. Par Commission nahi badhaya gya.

Petrol pump band rahenge: Badhai ja sakti hain hadtal

Unhonne kaha ki petrol pump dealaro ki hadtal ko dekhte central tel agencies ne thursday ko Delhi mein ek aham baithak bhi bulai. Jaha par agencies ke representatives se tel commission par charcha ki. Baithak mein koi uchit samadhan nahi nikala hain. In 2 dino ke baad ye hadtal anishchit samay mein tabdil bhi ki ja sakti hain.

Panipat mein 3 sarkari petrol pump

Panipat mein 3 sarkari petrol pump hain. Ye Skylark, Sugar Mill aurAssandh Road par sthit hain. 2 Din private pumps band hone par log yaha tel bharva sakte hain.

Google search engine
RELATED ARTICLES

2 COMMENTS

  1. […] ऐसे वीडियो सामने आते हैं जो अपने आप में हैरान कर देने वाले होते हैं. ऐसा ही…करने जा रहे हैं, जिसे देखने के बाद आप […]

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -
Google search engine

Most Popular

Recent Comments