Sunday, September 8, 2024
Google search engine
HomeLatestWeather News: Uttar Pashchim Bharat mein aaj aur kal barsenge badra

Weather News: Uttar Pashchim Bharat mein aaj aur kal barsenge badra

Google search engine

Uttar Pashchim Bharat: IMD ke anusar, Uttar Pashchim Bharat mein 30 aur 31 March ko aandhi-toofan ke saath hi barish hone ki sambhavana hain. 30 March ko Pashchimi Himalayan shetr mein bhi alag-alag jagaho par barish ho sakati hain.

Mausam ke mijaj mein utar-chadhav jari hain. Khaskar pahadi shetro mein. Friday ko Jammu and Kashmir, Himachal Pradesh se lekar North-East ke Arunachal aur any pahadi rajyo mein kahi tej to kahi halki barish hui. Jammu and Kashmir ke Sonamarg mein himskhalan hua aur kai vaha raste mein fans gaye. Lekin rahat ki baat rahi ki koi hatahat nahi hua. Pahad se lagte maidani shetro mein bhi mausam badla aur garaj aur aandhi-toofan ke saath halki boondabandi hui. Abhi 2 din koi rahat bhi milane ki ummid nahi hain.

Bharatiye mausam vibhag ke anusar, Uttar Pashchim Bharat mein 30 aur 31 March ko aandhi-toofaan ke saath hi barish hone ki sambhavna hain. 30 March ko Pashchim Himalay shetr mein bhi alag-alag jagaho par barish ho sakti hain. Arunachal Pradesh samet North-East Bharat ke jyadatar rajyo mein 30 March se 1 April ke dauran tej barish hone ki sambhavana vyakt ki gai hain. Is dauran aandhi-toofan aur garjana ki bhi aashanka hain.

Uttar Pashchim Bharat: Sonamarg ke Hung ilake mein hua Himaskhalan

Police ke ek varishth adhikari ne bataya ki Ganderbal jile ke Sonamarg ke Hung ilake mein himaskhalan hua. Police team ki ek team turant mauke par pahunchi barfile himaskhalan mein fanse do vahano ko safalatapoorvak bahar nikala. Tvarit karravai se yatriyo ko koi nukasan nahi pahuncha.

2 Chakravati sthitiya bani

IMD ne bataya ki Dakshini Asaam aur Odisha mein alag-alag 2 chakravati sthitiya bani hui hain. Iske prabhav mein Arunachal Pradesh, Assam, Nagaland, Meghalaya samet poorvottar ke lagabhag sabhi rajyo, Pashchim Bangal ke Ganga ke tatavartI ilako aur Odisha, Jharkhand aur Bihar mein 30 March se 1 April ke dauran garaj ke saath barish hone aur tej hava chalane ki sambhavna hain.

April-May mein samany se jyada rahega tapaman, chalegi loo

IMD ke varishth vaigyanik Dr. Naresh Kumar ne bataya ki April aur May ke month mein samany se adhik tapaman rahne ki ummid hain. Halanki, unhonne yah bhi kaha ki abhi se koi satik poorvaanuman kar pana jaldabaji hogi. Unhonne kaha ki tapaman adhik hone se aagami months mein loo jaisi sthiti banane ki bhi sambhavana hain. Unhonne kaha ki April mein desh ke madhy bhag mein loo ki sthiti ban sakti hain. May sabse garm rahne vala hain. Aur Uttar Pashchim ke saath hi madhy Bharat mein loo chalane ki bhi tivr sambhavna hain. Ek sawal par unhonne kaha ki Uttar Pashchim Bharat mein tapman 35 digree Celsius se adhik rah sakta hain.

Google search engine
RELATED ARTICLES

8 COMMENTS

  1. […] सांकेतिक इलाज के बाद भी युवक लड्डू गोप… जिसके बाद युवक के परिजनों से संपर्क किया गया. करीब एक घंटे बाद रिंकू की मां भी सामुदायिक स्वास्थ्य केंद्र पहुंची और अपने बेटे रिंकू को समझाया। इसके बाद रिंकू घर जाने के लिए तैयार हो गया. फिलहाल सोशल मीडिया पर एक भक्त का अपने भगवान के प्रति अटूट प्रेम का वीडियो तेजी से वायरल हो रहा है. […]

  2. […] सेंट्रे का पानी एक अच्छा डिटॉक्स वॉटर … आप गर्मियों में वजन के हिसाब से इसका सेवन कर सकते हैं। विटामिन-सी प्रचुर मात्रा में मौजूद होता है, जो मेटाबॉलिज्म को बढ़ाने में मदद करता है। इसे बनाने के लिए एक बोतल में पानी लें। इसमें सेंट्रे के एप्लाइक्स का सेवन करें। […]

  3. […] चौथा शादी का आखिरी मुहूर्त का शुभ समय 21…इस दिन नक्षत्र उत्तरा फाल्गुनी है.विवाह के मुहूर्त के लिए एक बार अपने पंडित जी से संपर्क जरुर करे। […]

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -
Google search engine

Most Popular

Recent Comments