Saturday, November 23, 2024
Google search engine
HomeLatestDharmik News: Nagar Devta ke nahi kiye darshan to adhura rahta hain...

Dharmik News: Nagar Devta ke nahi kiye darshan to adhura rahta hain Sangam Snaan, Itihas hain purana

Google search engine

Nagar Devta: Bharat mein Hindu Dharm ki jad anadikal se judi hui hain. Jis par aaj bhi log bina tark ke aasthavan hokar bhagavan ko manate hain. Hamare desh mein pooja-paath aur dharmik aasthaye prabal rahi hain. Yaha ke kai mandir itihasik aur pauranik sthal ke roop mein pahachane jate hain. Inhi mein ek mandir Prayagraj mein hain. Jiska nirman srishti nirman ke samay hi brahmani ne kar diya tha. Uska naam hain Veni Madhav ka mandir.

Prayagraj Sangam tapobhumi hain, yaha par Maharishi Bhardwaj ka aashram vidyaman hain. Yahi Ganga, Jamuna, Saraswati ke sangam par hi srishti ka nirman karne ke baad Brahma ne Bhagwan Vishnu ko Prayagraj ki raksha ke liye sthapit kiya aur naam rakha Veni Madhav. Nagar devta ke roop mein jane jane vale Veni Madhav mandir Daraganj mein sthit hain. Is mandir ka darshan karte huye Chaitanya Mahaprabhu ko bhi banaya gya hain.

Nagar Devta: Yah hain khas manyta

Mandir ke pujari Acharya Laxmikant Shastri batate hain ki Ganga, Jamuna, Saraswati se bane is pavan sangam par darshan karne karodo shraddhalu aate hain. Lekin, jab tak sangam snaan ke baad Veni Madhav ka darshan na kiya jaye tab tak sangam snaan poora nahi hota.

Iska sakshy Ramcharitmanas aur Puranas mein hain. Isaliye Kumbh aur Maagh mele ke samay yaha par bhi prashasan ki or se poora intajam kiya jata hain. Prayagraj mein 12 Madhav mandir sthit hain. Yah sabhi Bhagwan Vishnu ko samarpit hain. Jisame Veni Madhav ko pramukh mana jata hain. Bhagwan Vishnu ke is mandir nagar devta isaliye mante hain. Kyoki, Prayagraj ke 12 kone par Dvadash Madhav hone ke karan Bhagwan Vishnu hi shahar ki rakhavali ka jimma liye hain.

Yah hain mandir khulane ka samay

Nagar devta Veni Madhav ka mandir subah 5:00 baje hi khul jata hain. Aur din mein 1:00 baje tak khula rahta hain. Vahi, shaam ko 3:00 baje se lekar ratri 9:00 baje tak kapat khule rahte hain. Lekin, Magh mela aur Kumbh ke samay is mandir ka darvaja dinbhar khula rahta hain.

Google search engine
RELATED ARTICLES

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -
Google search engine

Most Popular

Recent Comments